The Poetic Mind
Together we can spread the love
Blog of Magical Poetries...
The poetic mind Original POETRIES
Come, let's enter together into the magical world of Poetries!
Click on your desired title and dwell into the magic of The Poetic Mind.
Remember : You will need to register with The Poetic Mind to view the official content of posts available.
Ek ajnabee haseena...
“Aaiye aapke vichlit man ka nidaan karein… likhte likhte kuch baat karein… kuch meethi kuch khatti hongi… baatein zra ye sachchi hongi…” Chaliye padh lijiye.. intezaar kaafi karaya maine.. uske liye maafi mangta hun!.. Ab chaliye thodi si muskaan laiye.. are halki si to leaiye.. aur swipe par swipe karte jaiye! jabtak aakhri image na aajaye.. are yahi add kar raha tha kal parson raat ko… Aage ka content…….
raat...
Are raat ko mein kya bayan karun?… Bhala har kisi se behtar to ye mujhe janti hai..ye mujhe nahin mere dard janti hai, wo alfaz janti hai, wo dukh janti hai aur meri kabeeliyat pehchanti hai… Ye raat hai sahab! Wo ishq mein mile dard bhi janti hai aur wo haseen pal bhi janti hai… Are janti hai ye raat mere kayi adhoore sapne aur beshaq hausle bhi dena janti hai! Achcha laga na padhne mein? Chalo…….
Aaj Phir.. Jee Chahta Hai...
आज फिर मोहब्बत करने को जी चाहता है…
वो रातों को जागने को जी चाहता है…
तेरे हुस्न पर मर जाने को जी चाहता है…
बस तेरी बाहों में ससमट कर रह जाने को जी चाहता है…….
Koi Ho...
Koi ho.. wo anjaan hokar bhi apna kehne wala… Koi ho.. wo khamoshi samajhne wala… Koi ho.. wo dard mein kandha dene wala… Koi ho.. wo har pal saath nibhaane wala… Koi ho.. wo jhagadkar bhi apna kehne wala…….
KAASH YAWVAN JANTA.. KAASH BUDHAPA SAKSHAM HOTA…
“Kaash yawvan janta.. kaash budhapa saksham hota..” khayal aaya hoga na dimag mein ki kya hai ye?.. kis tarah ka topic hai.. kuch ne padhna hi utsukta se chalu kiya hoga… Ek zamana hota hai.. jahan dimag mein kayi sapne hote hain.. kuch waqt guzarte apne hote hain.. aur kuch ko bebas hokar bhulna padta hai.. magar yahi to zindagi hai.. har pal kuch utar chadhav liye.. akhir chalna to padta hai!……
Stree...
Aaj baat karte hain is duniya ki janani ki…ek maa ki, ek bhen ki, ek patni ki, Stree ki! Mein kuch kehne ke layak to nahin…lekin chaliye koshish karte hain apka dil chhune ki… “Na hoti ye khoobsurati is duniya mein kahin… Jo na hotin ye dilon ki rani yahin… Na milte kahin dekhne ye nazare hasin… Hoti to bas wo kalik hi kalik kahin…” Aaj apne aas paas dekhta hun to…….
suno...
Suno na…🥰 Kaho na…😉 Kehte kyun nahin ki tumhein mujhse pyaar hai… Tumhare meri zindagi mein aane se jaise… Ye zulfon mein meri.. bahaar hai… Ye meri aankhon mein…….
Jo Reh Gaya...
Kuch kehna tha.. jo reh gaya… Tere sang jeena tha.. jo reh gaya… Tere saath milon chalna tha.. jo reh gaya… Tera haanth thaam in galiyon se guzarna tha.. jo reh gaya… Teri baaton mein…….
World Menstrual hygiene day...
What’s the need of celebrating world menstrual hygiene day?.. menstrual cycle is nothing new!.. it is in existence since when the population exists.. then why to celebrate a specific day?.. why we needed a day for menstrual cycle?.. there are many…….
Stop! Sexual Assaults...
Ek roz kabhi jo akela tha mein… Ek roz kabhi baitha.. mein soch raha tha… Ek roz mein ek khidki se jhank raha tha… Aas paas.. kehne ko shor bohot tha… Kayi aawaz aatin thi.. magar…….
Mohabbat...
“Are ishq to aisa vishay hai… Ham likhte chale jayenge… Aap padhte chale jaayenge… Aur hamare janne waale sunte chale jaayenge… Magar phir bhi dil ko santusht nahin kar paayenge…” Kya samajh kar padhne aaye ho?.. Ehsaas ya mazaak?.. apne faisle ko apne saath rakhna magar…….
National Friendship Day...
I will not write any poetry here.. but, will write some reality.. are you ready to face it?.. I have seen people.. putting up statuses and wishing each other.. “Happy Friendship Day” too.. sochta hun.. kya sachmein friend hain dono?.. itna gehra hai rishta ki celebrate kiya jaaye?.. Friendship…….
Ek Mulakaat...
Khud se aaj mulakaat hogayi… Dekhte hi dekhte.. kuch aisi baat hogayi… Khangaal raha tha mein almari apni… Ki kuch yaadon ki phir barsaat hogayi… Zyada kuch nahin.. ek chabi ke chhalle se shuruaat hui thi… Meri.. mere ateet se aaj mulakaat…….
Ek dastaan...
Ek dastaan sunaun?.. ya sunaun koi kavita purani?.. Haqeeqat batlaun?.. ya batlaun wo beeti zindagani?.. Chalo sunata hun.. ek afsana purana… Ateet darshane ka.. jaise samjho bahana… Chalo sunata hun.. ek kahani purani… Meri aur tumhari.. jahan shayad.. Yaad nahin kab…….
Ek khat...
Ek kaagaz ka hi to tukda tha… Mere dil se juda.. ek chhota sa hi to hissa tha?.. Kuch syahi thi.. kuch silwat thi… Kuch shabdon ka hi to kissa tha?.. bas kaagaz ka.. ek chhota sa hissa tha… Kuch maidan sa.. tha rang safed… Jahaan shabdon…….
tum kaho...
Tum kaho to tumpar.. kitaab likh dun?.. Ya shabdon mein tumhein.. behisaab likh dun?.. Tum kaho to tumhein bemisaal likh dun?.. Ya meri zindagi ke har sawaal ka.. ek jawaab likh dun?.. Tum kaho to tumhein.. apni jaan likh dun?.. Ya har raat jo aata.. wo khwaab…….
Daughters' day...
Ye betiyan bhi kitni kamal hoti hain… Ek pita ka.. gehra abhiman hoti hain… Hazaaron gam saath liye… Ye to duniya ke liye.. sirf ek muskaan hoti hain… Thodi naadan si ye zarur hoti hain… Har rishte ki buniyad.. ye bakhubi rakhti hain… Duniya ke liye.. to jaise shant sarovar… Magar andar se.. ye bohot…….
diwali 2022...
Kehne ko to diwali ka tyohaar hai… Har jagah umang ki bahaar hai… Par bachpan jaisa kahan utsah hai?.. Har taraf hi to bas.. kuch kami barkaraar hai… Aaj kuch kavita nahin likhunga.. sirf kuch haqeeqat.. ya yun kahun.. apni haqeeqat likhunga.. shayad bohoton ki bhi ho? Aur shayad kuch ko waqt…….
ek intezaar...
Kayi din nikal jate hain… Bas ek intezaar sa bana rehta hai… Kayi raatein nikal jaati hain… Lekin ek khwaab.. sirf jaga rehta hai… Kehne ko to duniya rukti nahin… Par kuch thama sa lagta hai… Sirf kuch yaadon ke sath jeena…….
mera astitv...
Bikhar raha hun toot toot kar… Ki katra katra bhi khamosh ho chala hai… Aawaz bhi nahin hai.. bas sannata ho chala hai… Mera astitv.. kuch kho chala hai… Kuch sawaalon mein phir ulajh chuka hun… Jawaabon ko mein.. taras chuka hun… Kho raha hun bas khudko… Shayad doori bhi…….
Men
Duniya ke liye to sakht hain ham… Magar dil to wahi narm hai… Dukh jata hai aksar kahin… Magar aansu nikalna bhi to ek gam hai… Kabhi samajhkar dekho jazbat hamare… Ham to dard mein bhi muskura liya karte hain…….
Trust
Hota kya hai trust? Waise to kayi alag alag naam hain jaise – bharosa, vishwaas, shraddha, yakeen, aur anekon.. bohot hain.. kayi logon ke to naam hi hain.. par kabhi kabhi lagta hai naam ke hisab se insaan nahin tha.. kyun?.. khair…….
happy new year - 2023
Kuch nahin hoga mere dost… Ek calendar utarega deewar se.. to agla taanga jaayega… Phir wahi ek ek kar.. 12 panno ko palta jaayega… Phir aayegi ek raat 31 wali… Aur.. aksar ke muh ek baar fir bola jaayega…….
din
Din mein kuch khaas nahin hai… Koi nayi si baat nahin hai… Han kehne ko birthday to hai mera… Par lagta kuch khaas nahin hai… Roz ki tarah hi to.. aaj jaaga hun…….
Dastaan - ae - dil
Chalo dil se dil ke taar milate hain… Ek dil ke chhupe.. haalat sunate hain… Kuch chhupe hue jazbaaton ko… Aaj shabdon mein darshate hain… Wo hua yun hai ki…….
kuch.. khwabon ki baatein
Chalo karein.. kuch khwaabon ki baatein… Taaron tale.. beetin ho jo raatein… Andheron mein.. wo kuch nami bhari aankhein… Aur….? Aur kya…….
mujhe.. ishq hua hai
Ishq mohabbat to sab padha denge… Chalo.. mein tumhein dard ka ehsaas karaun… Kuch toota mujhe samajh lena… Kuch tumhare.. mein jazbaat jagaun… Chalo.. ek baar aur…….
Chal aadhi aadhi baant lein
Ishq mohabbat to bohot likh liya… Chal dost.. ek shaam tere naam karte hain… Kuch gam mere hisse hain… Kuch seena tera dukhta hoga… Chal milkar inhein sudhaar lein…….